We do what we have to do in order to do what we want to do.

Saturday, 16 February 2013

Rahega Yaad Mujhko School Ka Ye Zamana (Special Poem Of Farewell Party)

Rahega yaad mujhko school ka ye zamana
Agarche zindagi k safar ka nahi koi thikana
Wo larkiyon k chamakte chehre
Wo larkon k spikes hawa me lehre 
Wo teachers k lectures or students ki ninden
Wo badalte pehlo or bechain karwaten
Or wo students ka P.E period k liye tarana, marna, rona or rolana
Rahega yaad mujhko school ka ye zamana

Tazadon ki duniya me ajab haal dekha
School ki dress pe backcombing ka jamal dekha
Wo classes ka bunk karna or Sir Amjad ka chilana
Wo bhaagte bhaagte hamara hi chup jana
Rahega yaad mujhko school ka ye zamana

Fakhr ki susti, sote hue Anas ki oong
Mehran ki Khamoshi, Nusrat ka hasna
Or Abdullah ki pur israar sarghoshi
Marvi ki la-parwahi, resham ki chalaki
Alag andaaz the class k 
jese pagalon ki ho toli

Class me pichay bethay khana peena
Ab bhi yaad hai humko Miss Shaheena ka zamana
Math k Guru Shehbaz Saleem or Madiha
Samajh Samajh k na samjhe Maida or Abdullah

Lete the anraiyaan or kam tha bs sona;
Yasir, Anas, basit or Rida
Thin Maham hamari Shakira
Sath me Umama bhi Obama
Tha hamara bura haal 
Dekh k into taal (Tall*)
Weengus or Khooban
Kitni tez hai inki zubaan
Sath me bara bara khandaan
Hoga na ye dosti ka zamana purana
Rahega yaad mujhko school ka ye zamana

Aabii duago hai sab k naseeb bhale rahen
Labon se lab mile rahen
Dilon se dil mile rahe
Gunche Khuda k yunhi sada khile rahen
Rahega yunhi shaad The Educators school hamara
Rahega Yaad Mujhko School Ka Ye Zamana 

No comments:

Post a Comment